Thursday, August 9, 2007

Tavikalu

*********************************************************
madi aalapinche mouna geetanni,
neeku vinipinchedi ela.. naa oohallo tappa

nenu kane teeyani kalalanni,
choopinchedi ekkada... naa kallallo tappa

manasulo sthirapadina roopanivi,
ninnu varninchedi ela ... naa maatallo tappa

ninnu ennatiki pondalenani telisina,
naa aaratanni telipedela.. naa aasalato tappa

pichhi manasu ninne koorutonde,
inkemi teliyadu paapam.. preminchatam tappa

dahinchi vestunna viraha baadhaki,
ika mugimpu palikedela.. naa praanamto tappa
*********************************************************
gaali laaga sokavu, jaali kaasta choopuma
kaantivai vachhavu, bhraantivai pokuma

svaasaga maaraavu, aasalaina teerchuma
kantipaapa vainavu, kanumarugai pokuma

gadiyalenno migili levu, bidiyamaina veeduma
maruvaleka unnanu, marapunaina nerpuma

pichhidaani nayyanu, nachhaanani cheppuma
pranayamento telipaavu, pralayamai pokuma
*********************************************************
kammukunna cheekatini cheelchestu
udayistunna bhaaskarudu...

istam lekuna ika tappadu annattu
maayamoutunna cheekati...

maaku nee kalle nachhayi antu
tishtavesina kalalu...

kaneesam kalalalo aina chentane untu
kavvistunna nuvvu...

ee lokame naa lokam ga, anni marachi
nidristunna nenu...

ila undaga en buddhi kaligindo vaatiki,
kontega navvayi..

navvukoni, nidristunna nannu tatti lepayi
penchukunna aasalu...

eeroju aina tappakunda karunistavani
nammakamga cheppayi...

okkasaari kallu terichi aasato choosa
nuvvu untavani..

eduragaa levu, kaani naaku telusu ga
naalone unnavani..
*******************************************************

sher-o-shayari

ishq mein mere huzoor,
baaki sab to maaf hai
dil jalaakar aag se bhaage,
yeh kaisa insaaf hai
**************************************************************************

itne bhi bure nahin hum,
zara soch to liya hota
tumhare na se is dil pe jo guzri
zara pooch to liya hota
**************************************************************************

ek tera hi naam basa hua hai,
meri har ek saans mein
kab tum mujhe pukaaroge, (tum bhi kabhi yaad karoge mujhe)
khoi hun bas isi aas mein
**************************************************************************

aisa kya mujhe choo liya,
pathhar thi, paak ho gayi
aisi aag lagaa di tune,
ki jal ke raakh ho gayi
**************************************************************************

bas tera hi chehra rehta hai,
har pal meri nazar mein
tasavvur mein meri aate rehte ho,
har shab mein, sahar mein
**************************************************************************

aisa kya jaado chalaa diya,
sirf tum ho meri khayaalon mein
tera hi nasha bhara hua hai,
in hoothon ke pyaalon mein
**************************************************************************

zara bhi taras nahin kya hum pe,
itne kyun ho bedard piya
lene ko to dil le liya,
badle mein kyun dard diya
**************************************************************************

rag-rag mein samaan gaya hai jo,
tumhare pyar ka woh nashaa chaahiye
katron se bujhne waali nahin ye pyaas,
humein to poora mai kadah chaahiye
**************************************************************************

zurm-e-mohabbat ki aisi saza mili hum ko,
zurrat-e-dedaar, kar bhi nahin sakte
jeene kab diya aapne chain se,
ab to chain se, mar bhi nahin sakte
**************************************************************************

tohfa nahin apna dil tha humne thamaaya,
zara use khol to liya hota
ya phir hum kuch dene ke laayak hi nahin,
pehle se bol to diya hota
**************************************************************************

dil ke itne saare tukde hue,
ab use jod bhi nahin sakte
par ishq mein itne majboor hain ki,
tumse bandhan tod bhi nahin sakte
**************************************************************************

nahin tum to tumhein dhoondhti hain,
paas ho to sharm se jhuk jaati hai
yeh aakhen hain ya kampasa ki sui,
gumraah bhi karo, bas tum pe aake ruk jaati hain
**************************************************************************

deedar na ho unka agar,
ye solah-singaar bhala kis kaam ka
saans tak lete hain unki meharbaani se,
bin unke hamara sab kuch bas naam ka
**************************************************************************

dil ko kab ka kar diya aapke hawale,
socha nahin aap ise aise rulaayenge
bhale aap mujhe sirf apna dost samjhen,
mujhme base aap ko bhalaa kaise bhulayenge
**************************************************************************

suna aise chamak rahe the woh,
jaise rukh mein aaftaab ho bhara
ek dedaar se, unki giraft mein aa jate
par sarkaayen chehre se, nakaab woh zara
**************************************************************************

kabhi jo doob rahi ho teri kashti,
apni baahon ka patwaar bana denge
teri jeet ki khaatir, jaan bhi kyun na jaaye,
kismat se lad ke, teri har haar thama denge
**************************************************************************

is dil ko un pe haar ke,
unko humne jeet ka jaam pila diya
par hum na jeet paaye unke dil ko,
humein kis gunaah ka sila diya
**************************************************************************

haar maan liya maine is jung mein,
ab aur na mere sartaaj satao
bakshi hain tumne in aankhon mein,
bas un aansuon ka ilaaj batao
**************************************************************************

aansuon ki wajah to main
tumhe samjha bhi nahin sakti
jab dil rota hai
palkon se yeh hain tapakti
**************************************************************************

maut ki dhamki kise deta hai
hum to kab ka mar chuke hain
saikadon armaan the dil mein
katl sabka kar chuke hain
**************************************************************************

garmi hoti hai sooraj se,
par zameen kyun tapta hai
waar hota hai nazron se,
par dil kyun tadapta hai
**************************************************************************

bas tere khyaal ka jaado kafi tha,
zulf lehraane ki kya zaroorat thi
pehle se hum ghaayal ho chuke hain,
ab muskuraane ki kya zaroorat thi
**************************************************************************

hoothon pe hansi hoti
aankhon mein suroor hota
aap jo hume apna kehte
khud pe kitna guroor hota
**************************************************************************

sawaal itne kyun karti hun tumse,
iska to koi jawaab nahin
in aankhon mein jhaank kar to dekho,
khul jayega dil ka kitaab wahin

ab kis soch mein pad gaye ho,
jara use padh kar to dekho
ishq mein bahut door chal chuki hun main
ek kadam meri taraf, badh kar to dekho

tum bhi mujhe deewaanon se chaaho
dil mein ye aarzoo to hai
mohabbat ka matlab samjhaane waala
mera pehla pyaar tu jo hai

tum mujhe na bhi chaaho
kisi se koi shikwa nahin
bas tumhari har raza poori ho
rab se meri dua hai yahi
**************************************************************************

jab se chub gayi tumhari nazar,
jisne katl-ee-aam kar diya
apne is jeevan ko tab se,
tumhare naam kar diya

har ek pal ab to bas,
tumhari yaad hai sataati
dil ko tadpaane waali doori ka,
ehsaas hai jataati

dil to chura gaye ho mujh se,
kyun baksh diya is jaan ko
aise rang gayi tumhare rang mein,
kho chuki hun apne pehchaan ko
**************************************************************************

mazhab ke baazaaron ne,
baanta hai bhagwaan ko
sab kuch bant raha hai yahaan,
mat baanto insaan ko

raste mein kaafi thokar hain,
aur manzil thehri door hai
thak ke chaav mein baitha hai jo,
har raahi majboor hai
josh ka ek ghunt pila do,
haari hui har jaan ko
jaati-dharm ke bhaav se,
mukt karo insaan ko

adchan hain saikadon is path pe,
par unke aage kabhi na jhukna
paav mein chale to padte rahenge,
beech me tum kahin na rukna
karz mein doobe ho jis maa ki,
uske poore karo armaan ko
insaaniyat hi dharm hai sabka,
yeh yaad dilao insaan ko
**************************************************************************

dil is kadar cheekh utha,
ki lab pe koi awaaz nahin
toote hue khwaabon ke,
hum hue mohtaaz sahi

ummedon ke is laash ko,
kab tak liye chalte rahein
tanhaii ke is gam mein,
bolo kab tak jalte rahein

dil ke is deewaar pe dikhti hain,
bas tere yaadon ki daraarein
jal uthte hain tere naam se,
yeh ashq ban ke sharaare
**************************************************************************

in aankhon se kya kahun main,
jo sirf teri raah hai takti
tum na aaoge, ye jaan kar bhi,
intezaar mein tere, palak tak nahin jhapakti

ab in kaanon ki to poocho mat,
jinko bas tera awaaz hai sun na
kabhi to mujhe pukaaroge, is ummed mein,
kuch aur na sunein, to bhi koi parwaah na

is naak ne to had kar di,
jisme bas teri khushboo hai samaayi
kuch aur soonghne se ab inkaar hai inko,
jaise bas tere liye, rab ne inko hai banaayi

hoonth to meri har had se guzar gayi,
jo bas teri hi baatein karti hai
tujhse baat karke khil uthti hai,
na ho tum jo to, bas aahein bharti hai

par ye sab to kuch bhi nahin,
is paagal dil ke saamne
jo dhadakna tak band kar deta hai,
aas-paas bhi koi jo tera naam le
**************************************************************************

thaki hui aankhon ne ek din,
diya neend ko bulawa
aa bhi jao, aur kitna tadpaoge,
sukoon dega humein kaun, tumhare alaava

neend ne to nahin diya jawaab,
jhat se bol uthi ek khwaab
"lutaayenge tum pe apne shabaab,
par palken to band keejiye janaab

"phir bas neend hi nahin,
sang mein hum bhi chale aayenge
tumhare saare gam bhulaane,
apni duniya mein tumhe le jaayenge"
**************************************************************************

maana dil dukhaana tumhari fitrat mein nahin,
aur tumhe paana meri kismat mein nahin
hamare milan ne mujhe kahin ka na choda,
maara to hai, par bas ek furqat ne nahin

aisa din na dekha hoga qudrat ne kahin,
yeh jaan jab tumhari khidmat mein nahin
ek paagal jeeti bhi hai bus tumhare liye,
kabhi to yeh yaad kar lo, fursat mein sahi
**************************************************************************

is dil ke sivaay hum,
tumhe den bhi to kya
jo kuch bhi dena chaaha
sab kuch nikla jootha

paani lene gayi taalaab se,
pair jo tumhare dho leti
par machliyon ki majaal to dekho
kar diya na paani ko jootha

phool lene gayi baag mein,
charan jo choo kar tumhare
baalon me mere sajti, par hua kya,
titli ne kiya us ko bhi jootha

shehad lene gayi bazzar se,
labon se tere baad mein le leti
par dukaan wale ne yeh bataya,
madhumakhhi ne kiya ise bhi jootha

kam se kam chaay to pilati,
par haay meri kismat to dekho
gwaale ne kaha mujhse ki
bachde ne kiya doodh ko jootha

ab bolo mere pass dene ko,
kya bacha hai is dil ke siva
tumhe pooja hai,sach kehti hun,
baaki sab lagta hai ab jhootha..
**************************************************************************

paagal naam diya hai is dil ko,
ise koi naam warna manzur nahin
pyaar ka samandar chahiye ise,
beh jaane wala jharna manzur nahin

dard saare chup-chaap seh leta hai,
laboon se aah bharna manzur nahin
aag mein kood jaaye apnoon ke liye,
maut saamne ho par darna manzur nahin

deewaana ban jaaye ishq mein lekin,
bewafaa ka roop dharna manzur nahin
teri awaaz sun ne ko taras raha hai,
kuch to kaho, par "na" manzur nahin

jeene ki aisi lath laga di tu ne,
ki ab kuch aur karna manzur nahin
jannat paane ki khwayish to hai,
par uske liye marna manzur nahin
**************************************************************************

aksar mere sapne sach nahin hote,
aur neend mein hi sapne aate hain
yeh maan kar maine sona chod diya

patharile dil aag se nahin pighalte,
to mere aansuon bhala kis kaam ke
yeh jaan kar maine rona chod diya

waise to paani se pyaas bujhti hai
par dil ke aag bujhe bhi to kaise
pehchaan kar maine peena chod diya

suna hai zingadi rangeen hoti hai
par tum bin jeeyen bhi to kaise
yeh thaan kar maine jeena chod diya
**************************************************************************

bojh na sambhla to jhuk gayi palken,
aisa bhala kya hai inhone pehna
sapne mein bhi na socha tha maine,
ki sharm banega aankhon ka gehna

har ek pal unki baahon mein guzre,
aisa hai paagal dil ka chehna
marham to hai har kisi ka lekin,
kya karen, judaii ko hai sehna

mehlon ki khwaish nahin hai mujhe,
bas ek unke dil mein hai rehna
saagar mein tofaan ki khabar hai,
par piya sang mujhko hai behna

apna sab kuch kho chuki hun main,
mujhe is kadar tune hai jehna
aabadi ki ummed hai bas tujhhi se,
aey Ishq! Ab tera kya kehna
**************************************************************************

kyun tere bina judaii ke,
ye lamhe guzarte nahin
kabhi bhi mujhe yaad kar,
kyun tum machalte nahin

junoon-e-ishq ke elaan se,
hum kabhi mukarte nahin
par teri berukhi ka pata hota,
pehle se yun uchalte nahin

tere liye maine dekhe woh,
sapne yun bikharte nahin
armaanon ke mehal ko tum,
kaash aise kuchalte nahin
**************************************************************************

meri zingadi mein
tum jo na hote to

aakhon mein neend hoti
man mein bhi chain hota
suraj hota baadalon tale
din mein bhi rain hota

meri apni zindagi hoti
mera apna waqt bhi hota
dil pe hamla na ho paaye
pehra zara sakht bhi hota

bejaan si aankhon mein
koi sapna bhi na hota
pyaar mera paane waala
koi apna bhi na hota

hansne ki wajah na hoti
haseen har fiza na hota
agar tum na hote to
jeene ka mazaa na hota
**************************************************************************

main jo dost banaane nikli to,
dushman ban gaye hain saare
kiski shikwa karun main tumse,
hum to har kisi se haare

zaalim hawa mujhe nahin bhaati,
jab door thehri hun tujh se
to tumhaare gaalon ko choo kar,
hans rahi hai woj mujh pe

par sirf itni hi baat nahin,
kabhi tumse lipat jaati hai
yun tum par apna hak jataakar,
sharm se wo simat jaati hai

ab yeh aag se meri nahin banti,
jo lagi hai bas mere dil mein
kabhi to yeh tumko bhi jalaaye,
phir aaye dosti ki mehfil mein

par ise to dosti manzur nahin,
dushman ban ke jala rahi hai
ab aur kya ummed karun main
jab har pal aise rula rahi hai

paani ka to naam tak mat lo,
usne mujhe aisa dhoka diya
pairon tale sab kuchal ke,
apni berukhi se chaunka diya

teri to khoob seva karta hai,
dariya ban aise lachakta hai
par jo meri baat aa gayi to ,
dard me palkon se tapakta hai

kam se kam maine ye socha tha,
ki chanda to dega mera saath
meri baat tum tak pahunchegi,
hogi mujpe pyar ki barsaat

par usne aisi preet nibhayi,
chaandni sirf tumhe deta raha
par mujhe diya to bas tanhaai,
badle mein chain leta raha

aise har kisi ko aazma liya,
par khwaaish reh gayi adhoori
tum to mujh par reham karo
bhala aisi bhi kya majboori
**************************************************************************

ravana hui main ek din
ulfat ki duniya ke liye
milne anjaane yaar se

ye sun chaunk pade saare
chaaron taraf baithkar
samjhaane lage pyaar se

maine unki ek na suni
sehmat jo nahin thi
dooston ke inkaar se

mushkil se wahaan pahunchi
ye pehli mulakaat thi
is naye sansaar se

ghabraate hain log yahaan
kisi museebat se nahin
mohabbat ke izhaar se

chamak dikhti hai yahaan
har kisi ki aankhon mein
par ishq ke izhaar se

bhawandar aate hain yahaan
sab kuch doob jaata hai
ashkon ki bouchaar se

kashtiyaan doobti hi nahin
kyunki ye chala karti hain
baahon ki patwaar se

bijli bhi girti hai yahaan
oonche aasmaanon se nahin
nazron ki takraar se

jang lade jaate hain yahaan
katl bhi hote hain par
nainon ki talwaar se

jeet apnon ki hoti hai
dushman ki maut se nahin
apne dil ki haar se

sach mein ajeeb duniya hai
jo chala karti hai
bas paar hi pyaar se
**************************************************************************

sapne mein aate to ho,
par kaash aisa hota,
ki sachhayi ban jaate

mere kareeb aate to ho,
par kaash aisa hota,
ki door nahin jaa paate

geet prem ke gaa rahi hun,
par kaash aisa hota,
tum bhi wahi dhun gaate

maine tumhe chun liya,
par kaash aisa hota,
tum bhi mujhe chun paate